Bharat Ek Khoj Song Lyrics

Srishti se pehle satya nahin tha
Asatya bhi nahin
Antariksh bhi nahin
Aakash bhi nahin tha
Chhipa tha kya kahan
Kisne dekha tha
Us pal to agam
Atal jal bhi kahan tha
Srishti ka kaun hai karta
Karta hai yeh wa akarta
Unche aasman mein rehta
Sada adhyaksh bana rehta
Wohi sach much mein jaanta
Ya nahin bhi jaanta
Hai kisi ko nahin pata
Nahin pata
Nahin hai pata, nahin hai pata
Woh tha Hiranya Garbh srishti se pehle vidyaman
Wohi to saare bhoot jaat ka swami mahaan
Jo hai astitvamaana dharti aasman dharan kar
Aise kis devta ki upaasna kare hum avi dekar
Jis ke bal par tejomay hai ambar
Prithvi hari bhari sthapit sthir
Svarg aur suraj bhi sthir
Aise kis devta ki upaasna kare hum avi dekar
Garbh mein apne agni dharan kar
Paida karvyaapa tha jal idhar udhar neeche oopar
Jagah chuke vo ka ekmev praan bankar
Aise kis devta ki upaasna kare hum avi dekar
Om! Srishti nirmata svarg rachayata poorvaj raksha kar
Satya dharm palak atul jal niyamak raksha kar
Faili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par
Aisi hi devta ki upaasna kare hum avi dekar
Aisi hi devta ki upaasna kare hum avi dekar

Bharat-Ek-Khoj

Yug Badla Badla Hindustan – Doordarshan

Leave a Comment