Zaroori Tha 2 Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Kya ye lajim tha
Har ek roj tadpte jana
Hijar ki aag mein
Jal jal ke pinghalte jana
Mein to anjaan tha
Tume ne hi sikhaya hai mujhe
Waqat ke sath hai
Kaise badalte jana

Teri bebaak nazro se
Uljhna bhi zaroori tha
Zaroori thi mohbat to
Samjhna bhi zaroori tha

Kya hota ek manjil ke
Musafir sath hi rhte
Tha rahana zakham tera jo
Wo bharna bhi zaroori tha
Teri bebaak nazro se
Uljhna bhi zaroori tha

Abhi to sath chlne mein
Sukun tum se mila hi tha
Mnane ki jo rasme thi
Hai baki ruthna bhi tha

Sikayat tum ko thi mujh se
To mujh se hi gila karte
Jo aansu bahna chahte ho
Nhi unko kiya karte

Btao kya ye lazim tha
Tadpte chod kar jana
Sile me in wafao ke
Tadpna bhi zaroori tha
Teri bebaak nazro se
Uljhna bhi zaroori tha

Jhan milte the hum dono
Wha jakar bhut roya
Jise khone se darta tha
Wo aakhir mne hai khoya

Teri tasveer dekhu to
Nhi aata yakin mujh ko
Magar do rukh hai is tasveer ke
Ab hai yakin mujh ko

Kaha tu mujh me mosam sa
Yahan aaya kha badla
Mujhe tum ne ye sikhlaya
Badlna bhi zaroori tha

Zaroori thi mohabbat to
Samjhna bhi zaroori tha
Teri bebaak nazron se
Ulajhna bhi zaroori tha