Pardesiya Lyrics – Sonu Nigam (Param Sundari)

Pardesiya Lyrics

Hindi Song: Pardesiya
Movie: Param Sundari
Singer: Sonu Nigam, Krishnakali Saha & Sachin-Jigar
Lyrics: Amitabh Bhattacharya
Music: Sachin-Jigar
Music Label: Universal Music

Pardesiya Lyrics in English

Pardesiya hai tere pyar mein jab se
Jhankaar si hai dil ke taar mein tab se

Tum ho mere jaanta hoon magar
Pahunchaaun tum tak yeh kaise khabar
Kab se hoon main umeed mein
Hai ankaha jo sun lo agar

Pardesiya mila hai tu mujhe jab se
Main qaid hoon tere hi pyar mein tab se

Pardesiya hai teri batiyon ne
Kiya pareshan pardesiya
Pardesiya hai teri aankhiyon ne
Dil pe nishaan pardesiya

Haan choo ke labon se jaise
Jaadu hi kar diya
Saawan ne morni ko
Kaabu mein kar liya

Hum dono ki juda thi hastiyan
Hon kinare bin jaise kashtiyan
Aasaan ho aage safar
Tum sath mera chun lo agar

Pardesiya mila hai tu
Mujhe jab se
Main qaid hoon
Tere hi piyar mein tab se

Ho tum ho mere jaanta hoon magar
Pahunchaaun tum tak ye kaise khabar
Kab se hoon main umeed mein
Hai ankaha jo sun lo agar

Leave a Comment