Dear Zindagi movie dialogues, this film was directed by Gauri Shinde, and produced by Gauri Khan, Karan Johar and Gauri Shinde. Starring Shah Rukh Khan and Alia Bhatti.
Movie: Dear Zindagi
Director: Gauri Shinde
Producers: Gauri Khan, Karan Johar and Gauri Shinde
Cast: Shah Rukh Khan and Alia Bhatt
Release date: 23 November 2016
Dear Zindagi Movie Dialogues
Don’t let the past blackmail your present … to ruin a beautiful future – Shah Rukh Khan
Genius woh nahi hota jiske paas har sawaal ka jawab ho … genius woh hota hai jiske paas har jawaab tak pahunchne ka patience ho – Alia Bhatt
Kabhi kabhi hum mushkil rasta sirf is liye chunte hai … kyun ki humein lagta hai, important cheezein paane ke liye humein mushkil rasta apnana chahiye … apne aap ko punish karna bahut zaroori samajhte hai … but why, aasaan rasta kyun nahi chun sakte … kya burai hai us mein … khaas karke jab us mushkil ka saamna karne ke liye hum taiyaar hi nahi hai – Shah Rukh Khan
Jab hum apne aap ko achchi tarah samajh lete hai … toh doosre kya samajhte hai, it doesn’t matter … not at all – Shah Rukh Khan
Tum agar khulke ro nahi sakogi … toh khulkar has kaise sakogi – Shah Rukh Khan
Albert Einstein ne kaha tha … pagal woh hota hai joh roz roz same kaam karta hai … magar chahta hai ki nateeja alag ho – Shah Rukh Khan
Zindagi mein jab koi pattern banta ya koi aadat banti dikhai de na … toh uske baare mein achchi tarah se sochna chahiye … genius is about knowing when to stop – Shah Rukh Khan
Agar hum apni zindagi ka steering wheel apne haath mein nahi lenge na … toh koi doosra driver seat par baith jayega – Shah Rukh Khan
Zindagi ek jigsaw puzzle ki tarah hai … mere jaise log us puzzle ke khoye hue tukde, sirf dhoondne aur jodne mein madad kar sakte hai … par only you can complete the puzzle – Shah Rukh Khan
I drink only on two occasions … when I’m in love and when I’m not – Alia Bhatt
Safe feel karne ke liye pehle saare dar mitana zaroori hai – Shah Rukh Khan
We are all our own teachers in the school of life – Shah Rukh Khan